DARIYA SHIFA KA YESHU MASIH

DARIYA SHIFA KA YESHU MASIH

Dariya shifa ka
Dariya shifa ka Yeshu Masih
Beta Khuda ka Yeshu Masih
Kya tumne usko chaha kabhi
Kya tumne usse maanga kabhi
Toh mango abhi, Toh mango abhi
Toh mango abhi
woh tumko dega nayi zindagi

Uske liye kuch bhi mushkil nahin
saare jahan ka hai malik wahi
uski mohobat ko jana kabhi
uski mohobat ko jana kabhi
Kya tumne usse maanga kabhi
Toh mango abhi, Toh mango abhi
Toh mango abhi
woh tumko dega nayi zindagi

Zinda lahoo ka dariya hai woh
jeevan ke jal ka jharna hai woh
pyaase hain usko bola kabhi
pyaase hain usko bola kabhi
Kya tumne usse maanga kabhi
Toh mango abhi, Toh mango abhi
Toh mango abhi
woh tumko dega nayi zindagi

Spread the love