Jungli Darkhto Ke Darmiyan
Ek Seb Ke Ped Samaan
Nazar Aata Hai Mujhe Ae Masih
Sare Santo Ke Beech Me Tu
Hamd Karu Mei Teri Eh Prabhu
Apne Jeevan Bhar Is Jangle Ke Safar Me
Gaoon Shukar Gujari Se Mei..
Tu Hi Hai Nargis Khas Sharon Ka
Han Tu Sosan Bhi Vadiyo Ka
Santon Mei Tu Hai Ati Pavitar
Kaise Kamil Aur Shan Se Bhara
Hamd Karu Mei Teri Ae Prabhu..
Itra Ke Jaisa Hai Tera Naam
Khushbu Failata Hai Jahan Mei
Tangi Musibat Aur Badnami Mei
Bana Khushbudar Tere Saman
Hamd Karu Mei Teri Ae Prabhu..
Ghabrahat Ki Laharo Se Gar
Dubun Dukh Ke Sagar Mei
Apne Jorawar Hath Ko Badha
Mujhe Apne Seene Se Laga
Hamd Karu Mei Teri Ae Prabhu..
Abhi Aa Raha Hu Tere Paas
Puri Karne Ko Teri Marji
TaKi De Du Me Kaam Ko Anjam
Paun Tere Deedar Me Inaam
Hamd Karu Mei Teri Ae Prabhu..