Yeshu mere saath hai, yeshu mere andar hai
Yeshu ko mein pehne hoon, mujhmein woh zinda hai
yahi meri taaqat hai, yeh nahin bhoolna hai
kabhi nahin bhoolna hai, kabhi nahin bhoolna hai
jitni huqumaten, yeshu ke adheen hain
duniya ki taaqaten yeshu ke adheen hain
saari bimariyan yeshu ke adheen hain
atmik shaktiyan, yeshu ke adheen hain
yahi meri taaqat hai, yeh nahin bhoolna hai
shaitaan chalaak hai, karta woh vaar hai
masloob Yeshu se wo gaya haar hai
choo bhi na payega ab kabhi wo mujhe
na dara payega ab kabhi wo mujhe
yahi meri taaqat hai, yeh nahin bhoolna hai